Friday, October 28, 2011

(VU-Study-Corner) ZILHAJ MUBARAK



--
http://www.youtube.com/watch?v=F2tIaQZb9ak&
   ``````!F.S!`````
   


jis simt bhi dekhun nazar aata hai keh tum ho
ai jaan-e-jahan ye koi tum saa hai ke tum ho

ye Khvaab hai Khushbu hai ke jhonka hai ke pal hai
ye dhundh hai baadal hai ke saaya hai ke tum ho

is deed ki sa_at men kai rang hain larazaan
main hun keh koi aur hai duniyaa hai keh tum ho

dekho ye kisi aur ki aankhen hain keh meri
dekhun ye kisi aur ka chehara hai keh tum ho

ye umr-e-gurezan kahin thehre to ye janun
har sans men mujh ko ye lagata hai keh tum ho

har bazm men hai mauzuu-e-sukhan dil zad_gaan ka
ab kaun hai shereen hai keh lailaa hai keh tum ho

ik dard ka phaila hua sahara hai keh main hun
ik mauj men aaya hua dariya hai keh tum ho

wo vaqt na aaye keh dil-e-zaar bhi soche
is shahar men tanha koi ham sa hai keh tum ho

aabaad ham aashuftaa saron se nahin maqtal
ye rasm abhi shahar men zinda hai keh tum ho

ai jaan-e-'Faraz' itani bhi taufiiq kise thi
ham ko gham-e-hasti bhi gavara hai keh tum ho

--
Join us at facebook: https://www.facebook.com/VU.Study.Corner
 
Group Link: http://groups.google.com/group/VU-Study-Corner?hl=en
 
Group Rules: http://groups.google.com/group/VU-Study-Corner/web/group-rules
 
Unsubscribe: VU-Study-Corner+unsubscribe@googlegroups.com
 
Adult contents, Spamming, Immoral & Rudish talk, Cell number, Websites & Groups links specially in paper days are strictly prohibited and banned in group.

No comments:

Post a Comment